Saturday 5 April 2014

Sms Shayari Hindi Shayari Dard Bhari Friendship Image Wallpaper Love Sad Photos Pic Images

Sms Shayari Biography

Source(google.com.pk)

Kisi Ko Apna Banane Me Der Lagti Hai;
Kiya Hua Waada Nibhane Me Der Lagti Hai;
Pyaar To Pal Bhar Me Ho Jaata Hai;
Par Unhe Bhulane Me Saari Umar Bhi Kam Pad Jaati Hain!

Din Me Deepak Jalane Se Kya Hoga;
Raakh Me Aag Lagane Se Kya Hoga;
Jab Aapko Aati Hi Nahi Hamari Yaad;
Toh Phir Yaad Dilane Se Kya Hoga!

Aaj Phir Ji Bhar Ke Pi Aaya Hoon Main;
Dekhte Hi Teri Aankhen Shola Saamaan Ho Gaien;
Shukar Kar Ai Jaan Ke Main;
Hoon Dar-E-Afrang Ka Ik Adna Ghulaam;
Sadar-E-Aazam Yaani Daryooza Gar-E-Aazam Nahin;
Warna Ik Jaam-E-Sharab-E-Arqhawaan;
Kya Bujha Sakta Mere Seena-E-Sozaan Ki Aag;

Ghum Se Mar Jaati Na Tu;
Aaj Pi Jo Main;
Jaam-E-Rangeen Ke Bajaae;
Bekason Aur Naatwaan Ka Lahu;

Shukar Kar Ai Jaan ke Main;
Hoon Dar-E Afrang Ka Ik Adna Ghulaam;
Aur Behtar Aish Ke Qaabil Nahin!

Apni Bebasi Par Aaj Rona Sa Aaya;
Doosron Ko Nahi Maine Apno Ko Azmaaya;
Har Dost Ki Tanhaayi Door Ki;
Lekin Khud Ko Har Mod Par Tanha Hi Paya!

Pariyon Se Sunder Hai Mehbooba Meri;
Paakar Use Khud Par Naaz Karta Hun;
Har Janam Mein Bas Usi Ka Banna Hai;
Ye Elaan Sareaam Karta Hun!

Yaadien Aksar Hoti Hain Satane Ke Liye;
Koi Rooth Jaata Hai Phir Maan Jaane Ke Liye;
Rishte Nibhana Koi Muskil Toh Nahi;
Bas Dilon Me Pyaar Chahiye Use Nibhane Ke Liye!

Na Thi Jisko Mere Pyaar Ki Kadar;
Ittefaaq Se Usi Ko Chah Raha Tha Main;
Usi Diye Ne Jalaya Mere Hathon Ko;
Jisko Hawa Se Bacha Raha Tha Main!

Yeh Kya Gumaan Hai Bad Gumaan;
Samajh Na Mujhko Natawaan;
Khyal-E-Zuhd Abhi Kahan;
Abhi Tau Main Jawan Hun;

Ibadaton Ka Zikar Hai;
Nijat Ki Bhi Fikr Hai;
Janoonhai Sawaab Ka;
Khayal Hai Azaab Ka;

Magar Suno Tau Sheikh Ji;
Ajib Shai Hain Aap Bhi;
Bhala Shabab-O-Aashiqi;
Alag Hue Bhi Hain Kabhi;

Haseen Jalwa-Rez Hon;
Adaein Fitna-Khez Hon;
Hawain Itar-Bez Hon;
Tau Shauqkyon Na Tez Hon;

Chahoon To Ab Bhi Janibe-Manzil Palat Chalu;
Gumraah Is Liye Hun Ki Rahbar Khafha Na Ho!

Maghrib Ki Waadion Mein Goonji Azaan Hamari;
Thamta Na Tha Kisi Se Sail-E-Rawaan Hamara!

Jab Se Chaman Chhuta Hai Yeh Haal Ho Gaya Hai;
Dil Gham Ko Kah Raha Gham Dil Ko Kah Raha!

Saadgi Par Uski Marjaane Ki Hasrat Dil Mein Hai;
Bas Nahin Chalta Ki Phir Khanjarkaf-E-Qaatil Mein Hai!

Jaan Tujh Par Nisaar Karta Hoon;
Main Nahin Jaanta Dua Kya Hai!

Bekhudi Besabab Nahin Ghalib;
Kuchh Tau Hai Jiski Parda Daari Hai!

Bulbul Ke Kaarobaar Pe Hain Khandahaae Gul;
kahte hain ishq jisko khalal hai dimagh ka!

Koi Din Gar Zindgaani Aur Hai;
Apne Ji Mein Hum Ne Thaani Aur Hai;

Aatish-E-Dozakh Mein Yeh Garmi Kahaan;
Soz-E-Ghumhaae nihaani Aur Hai;

Baarha Dekhi Hain Unki Ranjishen;
Par Kuchh Ab Ke Sargaraani Aur Hai;

De Ke Khat Munh Dekhta Hai Naama Bar;
Kkujchh Tau Paighaam -E-Zabaani Aur Hai;

Qaata-E-Aamaar Hain Aksar Najoom;
Woh Balaa -E-Aasmaani Aur Hai;

Ho Chukin Ghalib Balaaen Sab Tamaam;
Ek Marg-E-Naagahaani Aur Hai!

Kaha Majnun Se Yah Laila Ki Maa Ne;
Ki Beta Tu Agar Kar Le M.A Pass;

Tau Fauran Beaah Doon Laila Ko Tujhse;
Bina Diqqat Main Ban Jaaoon Teri Saas;

Kaha Majnun Ne Yah Achchhi Sunaai;
Kuja Aashiq Kuja College Ki Bakwaas;

Kuja Yah Fitrati Josh-E-Tabiyat;
Kuja Thaunsi Hui Cheezon Ka Ahsaas;

Bari Bhi Aapko Kya Ho Gaya Hai;
Hiran Mein Laddi Jaati Hai Kahin Ghass;

Yah Abhi Hi Qadardani Aap Ne Ki;
Mujhe Samjha Hai Koi Harcharan Das;

Dil Apna Khoonkarne Ko Hoon Maujood;
Nahin Manzoor Maghz-E-Sar Ka Aamaas;

Yahi Teri Hai Shart-E-Wasl-E-Laila;
Tau Isteefa Mera Ba Hasrat O Yaas!

Marne Wale Marte Hain Lekin Fana Hote Nahin;
Vo Haqeeqat Mein Kabhi Hum Se Juda Hote Nahin!

Mere Bigre Hue Kaamon Ko Banaya Tu Ne;
Bojh Jo Mujh Se Na Utha Woh Uthaya Tu Ne!

Hindi Love Sms Hindi Shayari Dard Bhari Friendship Image Wallpaper Love Sad Photos Pic Images

Hindi Love Sms Biography

Source(google.com.pk)

Kabhi Ek Lamha Aisa Bhi Aata Hai;
Jisme Beeta Hua Kal Nazar Aata Hai;
Bas Yaaden Reh Jati Hai Yaad Karna Ke Liye;
Aur Waqt Sab Kuch Lekar Guzar Jata Hai!

Badla Tere Sitam Ka Koi Tujh Se Kya Kare;
Apna Hi Tu Farefta Hove, Khuda Kare;
Qaatil Hamari Naash Ko Tash-Hir Hai Zarur;
Aainda Ta Koi Na Kisi Se Wafa Kare;
Fikr-E-Maash, Ishq-E-Butaan, Yaad-E-Raftgaan;
Do Din Ki Zindagi Mein Ab Koi Kya Kya Kiya Kare;
Aalam Ke Beech Phir Na Rahe Rasm-E-Aashqi;
Gar Neem Lab Koi Tere Shikwe Se Waa Kare;
Gar Ho Sharaab-O-Khilwat-O-Mahboob-E-Khub Roo;
Zaahid Qasam Hai Tujh Ko Jo Tu Ho Tau Kya Kare;
Khaakastr-O-Patang-O-Mashahd Meri Ki Khaak;
Sham-O-Shafaq Ajab Ho Jo Mil Kar Ura Kare;
Ai Waae Bar Aseer, Ke Par Tor Kar Jise;
Sayyaad Fasl-E-Gul Mein Chaman Se Riha Kare!

Kisi Ko Pyar Itna Dena Ki Had Na Rahe;
Par Aitbaar Bhi Itna Rakhna Ki Shak Na Rahe;
Wafa Itni Karna Ki Bewafai Na Ho;
Aur Dua Bus Itni Karna Ki Judaai Na Ho!

Khushbu Ki Tarah Meri Har Sans Main;
Pyar Apna Basane Ka Wada Karo;
Rang Jitne Tumhari Mohabat Ke Hain;
Mere Dil Me Sajane Ka Wada Karo!

Dard Ki Mehfil Me Ek Sher Hum Bhi Arz Kiya Karte Hai;
Na Kisi Se Marham Na Duaon Ki Ummed Kiya Karte Hai;
Kayi Chehre Lekar Log Yaha Jiya Karte Hai;
Hum In Aasunao Ko Ek Chehre Ke Liye Peeya Karte Hai!

Aata Hai Yaad Mujhe Guzra Hua Zamana;
Woh Bagh Ki Bahaaren, Who Sab Ka Chahchahana;

Aazaadian Kahan Ab Who Apne Ghaunsle Ki;
Apni Khushi Se Aana, Apni Khushi Se Jana;

Lagti Hai Chot Dil Par Aata Hai Yaad Jisdin;
Shabnam Ke Aansoon Par Kalion Ka Muskarana;

Woh Piari Piari Soorat, Who Kaamni Si Moorat;
Aabaad Jis Ke Dam Se Tha Mera Aashiana;

Aati Nahin Sadaaen Uski Mere Qafas Mein;
Hoti Meri Rihaai, Ai Kash, Mere Bas Mein;

Kya Badnaseeb Main Hoon, Ghar Ko Taras Raha Hoon;
Saathi Tau Hain Watan Mein, Main Qaid Mein Padah Hoon;

Aai Bahaar Kalian Phoolon Ki Hans Rahi Hain;
Main Is Andhere Ghar Mein Qismat Ko Ro Raha Hoon!

Jane Kya Soch Ke Lehrein Sahil Se Takrati Hain;
Aur Phir Se Vapis Laut Jati Hain;
Samaj Nahi Ata Ke Woh Kinaro Se Bewafai Karti Hain;
Ya Phir Laut Ke Samandar Se Wafa Nibhati Hain!

Tere Hussan Ke Hum Deewane Ho Gaye;
Tujhe Apna Banate Banate Hum Khud Se Begaane Ho Gaye;
Na Chor Na Mujhe Tu Aaye Zalim;
Tere Kareeb Aakar Hum Duniya Se Dur Hogaye Hai!

Chand Ki Judai Me Aasma Bhi Tadap Gaya;
Uski Ek Zhalak Pane Ko Har Sitara Taras Gaya;
Badal Ke Dard Ko Kya Kahoo;
Chand Ki Yaad Me Vo Haste Haste Baras Gaya!

Apni Bebasi Par Aaj Rona Sa Aaya;
Doosron Ko Nahi Maine Apno Ko Azmaaya;
Har Dost Ki Tanhaayi Door Ki;
Lekin Khud Ko Har Morh Par Tanha Hi Paya!

Lab Pe Aati Hai Dua Ban Ke Tamanna Meri;
Zindagi Shama Ki Soorat Ho Khudaya Meri;

Door Duniya Ka Mere Dam Se Andhera Ho Jaaey;
Har Jagah Mere Chamakne Se Ujala Ho Jaaey;

Ho Mere Dam Se Yunhi Mere Watan Ki Zeenat;
Jis Tarah Phool Se Hoti Hai Chaman Ki Zeenat;

Zindagi Ho Meri Parwane Ki Soorat Yaarab;
Ilm Ki Shama Se Ho Mujhko Mohabbat Yaarab;

Ho Mera Kaam Ghareebon Ki Himayat Karna;
Dardmandon Se, Zaeefon Se Mohabbat Karna;

Mere Allah! Burai Se Bachana Mujhko;
Nek Jo Rah Ho Us Rah Pe Chalana Mujhko! 

Hum Doston Ko Bhulte Nahi Hain;
Magar Yeh Baat Jatate Nahi Hain;
Doston Ko Hamesha Rakhte Hain Yaad;
Hum Bhulne Ke Liye Dost Banate Nahi Hain!

Behte Aashkon Ki Zubaan Nahi Hoti;
Lafzon Mein Mohabat Bayaan Nahi Hoti;
Mile Jo Pyar To Kadar Karna;
Kismat Har Kisi Par Maherban Nahi Hoti!

Pal Pal Uska Saath Nibhate Hum;
Ek Ishare Par Duniya Chor Jaate Hum;
Samnder Ke Beech Mein Pahunch Kar Fareb Kiya Usne;
Wo Kehta To Kinare Par Hi Doob Jaate Hum!

Rone Se Aur Ishq Mein Bebaak Ho Gaye;
Dhoey Gaye Hum Aise, Ke Bas Paak Ho Gaye;

Sarf-E-Bahaa-E-Main Hue, Aalaat-E-Maikashi;
The Yeh Hi Do Hisaab, So Yoon Paak Ho Gaye;

Ruswaa-E-Dahar Go Hue Aawaargi Se Tum;
Baare Tabeeaton Ke Tau Chalaak Ho Gaye;

Kahta Hai Kaun Naala-E-Bulbul Ko Be Asar;
Parde Mein Gul Le Laakh Jigar Chaak Ho Gaye;

Poochhe Hai Kya Wajood-O-Adam Ahl-E-Shauq Ka;
Aap Apni Aag Ke Khas-O-Khashaak Ho Gaye;

Karne Gaye The Us Se, Taghaaful Ka Hum Gila;
Ki Ek Hi Nigah, Ke Bas Khaak Ho Gaye;

Is Rang Se Uthai Kal Us Ne Asad Ki Naash;
Dushman Bhi Jisko Dekh Ke Ghumnaak Ho Gaye!

Nazare Mile To Pyar Ho Jata Hai;
Palke Uthe To Izhaar Ho Jata Hai;
Na Jane Kya Kasish Hai Chahat Main;
Anjaan Bhi Hamari Zindagi Ka Haqdaar Ho Jata Hai!

Bolti Hai Dosti Chup Rahta Hai Pyar;
Hasti Hai Dosti Rulata Hai Pyar;
Milti Hai Dosti Bichhadta Hai Pyar;
Phir Na Jane Log Kyon Karte Hain Pyar!

Shayari Hindi Hindi Shayari Dard Bhari Friendship Image Wallpaper Love Sad Photos Pic Images

Shayari Hindi Biography

Source(google.com.pk) 

Khubsurat Sa Ek Pal Kissa Banjata Hai;
Jane Kab Kaun Zindagi Ka Hissa Banjata Hai;
Kuch Log Zindagi Me Milte Hain Aise;
Jinse Kabhi Na Tutnewala Rishta Banjata Hai!

Yaadon Ki Dhundh Me Aapki Parchaai Si Lagti Hai;
Kaano Me Goonjti Shahnaai Si Lagti Hai;
Aap Kareeb Hai To Apnapan Hai;
Varna Seene Me Saans Bhi Paraai Si Lagti Hai!

Aatish-E-Ishq Main Jal Jaon Tujhey Is Say Kiya;
Mousam Ki Tarah Badal Jaon Tujhey Is Say Kiya;

Chot Khaon Ya Zakham Lagay, Ya Ahsas-E-Ghum Mein Tarpon;
Mein Gir Jaon Ya Sanbhal Jaon Tujhey Is Say Kiya;

Mussartaon Ko Daikh Ker Bay Qarar Ho Jaon;
Ya Tofan-E-Ghum Say Behal Jaon, Tujhey Is Say Kiya;

Hansta Daikh Ker Hans Paron, Rota Daikh Ker Ro Paron;
Halat K Sanchay Mein Dhal Jaon, Tujhey Is Say Kiya;

Zararot Nahin Ab Kisi Hamsafar Ki Saaqi;
Janib-E-Manzil Tanha Nikal Jaon, Tujhey Is Say Kiya!

Baatein Karke Rula Na Dijiyega;
Yoon Chup Rehke Saza Na Dijiyega;
Na De Sake Khushi,To Gam Hi Sahi;
Par Dost Bana Ke Uhi Bhula Na Dijiyega!

Ruthi Hui Aankhon Mein Intezar Hota Hai;
Na Chahte Hue Bhi Pyar Hota Hai;
Kyun Dekhte Hain Hum Wo Sapne;
Jinke Tutne Par Bhi Unke Sach Hone Ka Intezar Hota Hai!

Dil Jeet Le Woh Jigar Hum Rakhte Hai;
Katal Kar De Woh Nazar Rakhte Hai;
Wada Kiya Hai Kisi Se Hamesa Muskurane Ka;
Warana Hum Bhi Ankhon Mai Samunder Rakthe Hai!

Ek Khwaish Sarhaney Rakh Do Na;
Aaj Mujh Pe Inayat Ker Do Na;

Zara Chupkey Se Khamoshi Se;
Tum Izhar-E-Mohabbat Ker Do Na;

Khud Ko Ker K Deewana Sa;
Mera Pyaar Amar Tum Ker Do Na;

Main Pyaas Mein Duuba Sehra Hoon;
Tum Mujh Ko Samandar Ker Do Na;

Main Yun Hi Phirta Hoon Dar-Ba-Dar;
Tum Khud Ko Manzil Ker Do Na !

Jaane Kyu Log Hamhe Aajmate Hai;
Kuch Pal Sath Rahne Ke Baad Dur Chale Jate Hai;
Sach Hi Kahte Hai Log Ki Sagar Ke Milne Ke Baad;
Log Barish Ko Bhul Jate Hai!

Tanhaiyon Mein Muskurana Ishq Hai;
Ek Baat Ko Sab Se Chhupana Ishq Hai;
Yun To Neend Nahi Aati Hamein Raat Bhar;
Magar Sote Sote Jagna Or Jagte Jagte Sona Hi Ishq Hai!

Pathar Ki Hai Duniya Jajbaat Nahi Samajhti;
Dil Mein Kya Hai Vo Baat Nahi Samajhti;
Tanha To Chand Bhi Hai Sitaron Ke Beech;
Par Chand Ka Dard Vo Raat Nahi Samajhti!

Kamyabi Kabhi Badi Nahi Hoti;
Pane Wale Hamesha Bade Hote Hai;
Darar Kabhi Badi Nahi Hoti;
Bharne Wale Hamesha Bade Hote Hai;
Itihaas Ke Har Panne Par Likha Hai;
Dosti Kabhi Badi Nahi Hoti;
Nibhane Wale Hamesha Bade Hote Hai!

Hans Ke Farmaate Hai Woh, Dekh Ke Haalat Meri;
Kyon Tum Aasaan Samajhte The Mohabbat Meri;

Baad Marne Ke Bhi Chhori Na Rafaaqat Meri;
Meri Turbat Se Lagi Baithi Hai Hasrat Meri;

Main Ne Aaghosh-E-Tasawur Mein Bhi Kheincha Tau Kaha;
Pis Gai, Pis Gai Be Dard, Nazaakat Meri;

Yaar Pahlu Mein Hai, Tanhaai Hai, Kahdo Nikle;
Aaj Kyon Dil Mein Chhipi Baithi Hai Hasrat Meri;

Aaeena Subah-E-Shab-E-Wasl Jo Dekha Tau Kaha;
Dekh Zaalim, Yehi Thi Shaam Ko Surat Meri;

Husan Aur Ishq Hum-Aaghosh Nazar Aa Jaate;
Teri Taswir Mein Khinch Jaati Jo Hairat Meri;

Kis Dhitaai Se Who Dil Chheen Ke Kahte Hai, Amir;
Who Mera Ghar Har, Rahe Jis Mein Mohabbat Meri!

Har Mulaqat Par Waqt Ka Takaza Hua;
Jab Jab Use Dekha Dil Ka Dard Taza Hua;
Suni Thi Sirf Gazal Mein Judai Ki Batein;
Ab Khud Par Biti Toh Haqiqat Ka Andaza Hua!

Apni Takleef Mei Mujhe Umeed Samajhna;
Koi Gam Aaye To Apne Najdeek Samajhna;
De Saku Hasi Us Ansu Ke Badle To;
Hajaro Ke Bech Mujhe Sabse Kareeb Samjhna!

Kadmo Ki Duri Se Dilo Ke Fasle Nahi Badte;
Dur Hone Se Dosti Ke Ehsaas Nahi Marte;
Kuch Kadmo Ka Fasla Hi Sahi Hamare Bech;
Par Koi Pal Nahi Jab Aapko Hum Yaad Nahi Karte!

Ban Kar Ehsas Meri Dhadkan Ke Pass Rehte Ho;
Tasvir Ban Kar Meri Ankhon Ke Pass Rehte Ho;
Puchna Hai Bas Ek Sawal;
Humse Dur Hokar Kya Aap Bhi Udaas Rehte Ho!

Galatiyon Se Juda Tu Bhi Nahi, Mai Bhi Nahi;
Dono Insaan Hain, Khuda Tu Bhi Nahi, Mai Bhi Nahi;

Tu Mujhe Or Mai Tujhe Ilzaam Dete Hain Magar;
Apne Andar Jhankta Tu Bhi Nahi,  Mai Bhi Nahi;

Galat Fahmiyon Ne Kar Di Dono Mai Paida Dooriyan;
Warna Fitrat Ka Bura Tu Bhi Nahi,  Mai Bhi Nahi!

Kuch Iss Tarah Sauda Kiya Waqt Ne;
Tajurba De Kar Woh Meri Nadani Le Gya!

Palko Ke Kinare Humne Bhigoye Hi Nahi;
Woh Sochte Hai Hum Roye Hi Nahi;
Woh Puchte Hai Khwabon Me Kise Dekhte Ho;
Hum Hai Ki Ek Umar Se Soye Hi Nahi!

Hindi Shayari Hindi Shayari Dard Bhari Friendship Image Wallpaper Love Sad Photos Pic Images

Hindi Shayari Biography

Source(google.com.pk)

Jo Dil Ke Karib Hi Nahi Saanso Me Base Ho;
Dost Sache Agar Sath Ho To Roya Nahi Karte;
Jo Ho Jeene Ki Wajah Vo Har Pal Yaad Aate Hai;
Gum Me Bhi Sukun De Ese Doston Ko Khoya Nahi Karte!

Duriya Hote Hue Bhi Safar Vahi Rahega;
Door Hote Hue Bhi Dostana Vahi Rahega;
Bahot Mushkil Hai Yeh Safar Zindgi Ka;
Agar Aapka Sath Hoga To Ehsaas Vahi Rahega!

Jab Bhi Main Tere Samne Hota Hoon;
Na Jane Kyon Aisa Lagta Hain;
Ye Waqt Yahi Tham Jaye;
Zamana Na Jane Kyun Itna Tez Bheta Hain;

Ab Bhi Aata Hain Tera Naam Mere Naam Ke Sath;
Log Jal Jal Kar Khakh Hue Jate Hain;
Udtha Hain Dil Se Jaise Dhuwan;
Bus Woh Chunne Se Hi Rakh Hue Jate Hain

Na Jane Kyon Ek Baat Mere Dil Main Kab Se Atki Hain;
Sayad Wo Tum Hi Ho jo Aaj Tak Mujh Se Lapti Hai;
Nahi Sone Deta Ye Khalipan Mujh ko;
Kabhi Aansoon,Kabhi Rona, Kabhi Siski Hain!

Teri Yaad Ne Hamhe Jeene Na Diya;
Chain Se Humko Ab Marne Na Diya;
Hum Peete Hai Teri Yaad Me Zalim;
Par Iss Duniya Ne Hame Peene Na Diya!

Na Mahfileh Azeeb Hai Na Manzar Azeeb Hai;
Usne Nigahon Se Jo Chalaya Wo Khanjar Azeeb Hai;
Na Dubne Deta Hai Na Nikalne;
Uski Nigaho Ka Ye Samandar Azeeb Hai!

Kash Kuch Aisa Karishma Hota;
Kisi Ko Banwane Ke Liye Khuda Ko Order Dena Hota;
Tujh Jaisa Hi Ek Dost Banwata Mai Khuda Se Khud Ke Liye;
Bhale Hi Uski Keemat Mein Khud Ko Khona Hota!

Taqdeer Kya Likhun Mukaddar Ke Samne;
Qatil Ne Qatl Kar Diya Mere Ghar Ke Samne;
Sari Basti Jalti To Afsos Na Hota;
Tanha Mera Hi Ghar Jalta Rha Samundar Ke Samne!

Aaj Naa Jane Kyun Rone Ka Mann Kiya;
Maa Ke Anchal Me Sar Chhupa Ke Sone Ka Mann Kiya;

Duniya Ki Is Bhag Daud Me Koh Chuka Tha Riste Sab;
Aaj Phir Un Riston Ko Ek Sire Se Sanjone Ka Mann Kiya;

Kisi Din Kisi Bheed Me Dekhi Thi Kisi Ki Ankhen;
Aaj Fir Un Ankhon Me Khone Ka Mann Kiya;

Roj Sapno Se Baatein Karta Tha Main;
Aaj Na Jane Kyun Unse Muh Modne Ka Man Kiya;

Jhooth Bolta Hoon Apne Aap Se Roj Main;
Aaj Na Jane Kyun Khud Se Ek Sach Bolne Ka Mann Kiya;

Dil Todta Hoon Sab Ka Apni Baaton Se Main;
Aaj Na Jane Kyun Ek Toota Hua Dil Jodne Ka Mann Kia;

Aaj Naa Jane Kyun Rone Ka Mann Kiya;
Maa Ke Anchal Me Sar Chhupa Ke Sone Ka Mann Kiya!

Kabhi Yaroon Ki Mehfil Me Baith Ke Hum Bhi Piya Karte The;
Kabhi Yaroon Ke Yaar Ban Ke Hum Bi Jiya Karte The;
Zindagi Ne Ki Bewafi ,Warna;
Hum Bhi Zingadi Se Pyar Kiya Karte The!

Kabhi Ek Lamha Aisa Bhi Aata Hai;
Jisme Beeta Hua Kal Nazar Aata Hai;
Bas Yaadein Reh Jati Hai Yaad Karna Ke Liye;
Aur Waqt Sab Kuch Lekar Guzar Jata Hai!

Yaad Rukti Nahi Rok Paane Se;
Dil Maanta Nahi Kisi Ke Samjhane Se;
Ruk Jati Hai Dhadkane Aapko Bhool Jane Se;
Isliye Aapko Yaad Karte Hai Zeeneh Ke Bhane Se!

Ik Baar Kar Ke Aitbaar Likh Do;
Kitna Hai Mujh Se Pyar Likh Do;

Kat Ti Nahi Yeh Zindagi,Ab Tere Bin;
Kitna Karoon Aur Intzaar Likh Do;

Taras Rehy Hain Bari Mudat Se;
Iss Bar Apni Mohabbat Ka Izhaar Likh Do;

Deewanay Ho Jayein Jisay Parh Ke Hum;
Kuch Aisa Tum Mere Naam Likh Do;

Zayada Nahi Likh Sktay To Mat Likho;
Mohabbat Bharay Lafz 2,4 Likh Do;

Ik Baar Likho Mohabbat Hai Tum Se;
Phir Yehi Jumla Baar Baar Likh Do!

Vada Karke Nibhana Bhool Jate Hain;
Lagakar Aag Bujana Bhool Jate Hain;
Ye To Aadat Ho Gayi Hai Unki;
Rulate To Hai Par Manana Bhool Jate Hain

Khaali Sheeshe Bi Nishan Rakte Hain;
Toote Dil Bi Arman Rakhte Hain;
Jo Khamoshi Se Gujar Jayen;
Vo Dariya Bi Dil Me Toofan Rakte Hain!

Kash Hamari Bhi Parwah Kisi Ne Ki Hoti;
To Ye Duniya Humse Ruswa Na Hoti;
Agar Aata Aap Jaisa Muskurana Hamein;
To Hamse Bhi Kisi Ne Mohabbat Ki Hoti!

Dil Me Tamannaon Ko Dabana Seekh Liya;
Gum Ko Ankhon Me Chhipana Seekh Liya;
Mere Chahre Se Kahin Koi Baat Zaahir Na Ho;
Daba Ke Hothon Ko Hamne Muskrana Seekh Liya!

Mohabbaton Mein Agar Koi Rasm O Raah Na Ho;
Sakoon Tabaah Nah Ho, Zindagi Gunaah Na Ho; 

Kuch Aetedaal Bhi Laazim Hai Dil Lagi Key Liey;
Kissi Sey Pyaar Agar Ho To Bepanaah Na Ho;

Iss Ehtyaat Sey Mai Terey Saath Chalta Hoon;
Teri Nigaah Sey Aagey Meri Nigaah Na Ho;

Mera Wajood Hai Sachaaion Ka Aaina;
Yeh Aour Baat Keh Mera Koi Gawaah Nah Ho! 

Phoolon Ki Wadi Me Ho Basera Tera;
Sitaron Ke Aangan Mein Ho Ghar Tera;
Dua Hai Esh Dost Ki Ae Dost Tere Lia;
K Tujh Se Bhi Khubsurat Ho Naseb Tera!

Dost Ki Yaad Se Badi Koi Daulat Nahi Hoti;
Sath Rehna Hi Dost Ki Jarurat Nahi Hoti;
Duriyan Kardeti Hai Yadoon Ko Jinda;
Warna Yadoon Ki Koi Keemat Nahi Hoti!

Best Hindi Shayri Hindi Shayari Dard Bhari Friendship Image Wallpaper Love Sad Photos Pic Images

Best Hindi Shayri Biography

Source(google.com.pk)

Aansuon Ke Chalne Ki Awaz Nahin Hoti;
Dil Ke Tootne Ki Aahaat Nahin Hoti;
Agar Hota Khuda Ko Har Dard Ka Ehsaas;
To Use Dard Dene Ki Aadat Nehin Hoti!

Tere Paas Aane Ko Jee Chahata Hai;
Naye Zakham Khane Ko Jee Chahata Hai;

Zamana Mera Aazmaya Hua Hai;
Tujhey Aazmane Ko Jee Chahata Hai;

Wahi Baat Reh Reh K Yaad Aa Rahi Hai;
Jisey Bhool Jane Ko Jee Chahata Hai;

Labo'n Par Merey Khailtey Hain Tabassum;
Jab Aansoo Bahane Ko Jee Chahata Hai;

Takalluf Na Kar Aaj Barq E Tajalli;
Nasheman Jalaney Ko Jee Chahata Hai;

Rukhey Zindagi Se Naqabain Ulat Karr;
Haqiqat Dikhane Ko Jee Chahata Hai!

Socha Kisi Apne Se Baat Karen;
Apne Kisi Khas Ko Yaad Karen;
Jo Faisala Kisi Ko Sms Karne Ka Kiya;
Dil Ne Kaha Kyun Na Aapse Shuruwat Karen!

Naraz Hona Aapse Galti Kehlayegi;
Aapki Ruswaie Se Saanse Tham Jayengi;
Haste Rehna Hamesha;
Aapki Hasi Se Hamari Zindagi Savar Jayegi!

Khushi Ke Aansu Rukne Na Dena;
Gum Ke Aansu Bahne Na Dena;
Yeh Zindagi Na Jane Kab Ruk Jayegi;
Magar Ye Pyara Sa Rista Kabhi Tutne Na Dena!

Raaste Mein Pattharon Ki Kami Nahi Hai;
Mann Mein Toote Sapno Ki Kami Nahi Hai;
Chaahat Hai Unko Apna Banana Ki Magar;
Unke Paas Apno Ki Kami Nahi Hai!

Aate Jaate Mujhe Ilzaam To Dete Jao;
Aate Jaate Mujhe Ilzaam To Dete Jao;

Damm Nikal Jaye Jo Uth Ker Shab-E-Tunhaai Main;
Mujh Ko Wapis Dil-E-Nakaam To Dete Jao;

Main Kisi Aur Ka Ehsaan Naheen Lay Sakti;
Meri Qismat Mera Anjaam To Dete Jao;

Phool Mehkaon -k- Daaman Main Sajaon Kante;
Mere Hisse Ka Mujhe Kaam To Dete Jao!

Aye Khuda Kaisi Ye Judaai Hai;
Har Mod Par Tanhaai Hai;
Kaise Jiyenge Hum Unke Bina;
Har Taraf Ruswai Hai!

Maikhane Saje The, Jam Ka Tha Daur;
Jam Me Kya Tha Ye Kisne Kiya Tha Gaur;
Jam Me Gum Tha Mere Armano Ka;
Aur Sab Kahe Rahe The Ek Aur, Ek Aur!

Kuch Ehsason Ke Saye Dil Ko Chu Jate Hain;
Kuch Manzar Dil Mein Utar Jate Hain;
Bejan Gulshan Mein Bhi Phool Khil Jate Hain;
Jab Zindagi Mein Aap Jaise Dost Mil Jate Hain!

Zindagi Jeete Jeete Hum Marna Seekh Gaye;
Maut Ki Raah Pe Khade Hai Par Kambakt Jeena Seekh Gaye;
Ab To Is Zindgi Pe Bhi Taras Aane Laga Hai;
Jo Jeete Hue Marna Aur Marte Hue Jeena Seekh Gaye

Jis Tarah Bhi Ho Saka Us Tarah Toda Mujhe;
Zindagi Ne Maut Ke Qabil Nahi Samjha Mujhe;

Zindagi Maankar Chalati Rahi Ghoda Mujhe;
Har Kadam Par Maarti Hai Ek Naya Koda Mujhe;

Zindagi Har Waqt Meri Peeth Par Baithi Rahi;
Apni Marzi Ke Mutabiq Har Taraf Moda Mujhe;

Is Tarah Apno Ke Ehsaan Hai Mujh Par Bahut;
Chot De Kar Dil Ko Sheeshe Ki Tarah Joda Mujhe;

He Zindagi Meri Tujhse Iltiza Itni Hai Bus;
Chodhkar Nafrat Ki Bhasha Pyar De Thoda Mujhe;

Warna Ek Din Jalti Hui Aag Se Bolegi Meri Laash Yoon;
Zindagi Ne Aag Ke Dariya Me Laa Chhoda Mujhe!

Har Lamha Apke Hothon Pe Muskan Rahe;
Har Gum Se Aap Anjaan Rahen;
Jiske Sath Mehak Uthe Aapki Zindgi;
Hamsha Aapke Pass Woh Insan Rahe!

Pani Se Pyaas Na Bujhi;
Toh Maikhane Ki Taraf Chal Nikla;
Socha Shikayat Karun Teri Khudha Se;
Par Khudha Bhi Tera Aashiq Nikla!

Dost Ki Yaad Se Badi Koi Daulat Nahin Hoti;
Sath Rehna Hi Dost Ki Jarurat Nahin Hoti;
Duriyan Kardeti Ha Yaadon Ko Jinda;
Warna Yaadon Ki Koi Keemat Nahin Hoti!

Tumhara Dukh Hum Seh Nahi Sakte;
Bhari Mehfil Mein Kuch Keh Nahi Sakte;
Hamare Girte Hue Aansuon Ko Pad Kar Dekho;
Woh Bhi Kehte Hai Ke Hum Aapke Bin Reh Nahi Sakte!

Kisi Ranjish Ko Hawa Do Ke Mein Zinda Hoo Abhi;
Mujhe Koi Ahsaas Dila Do Ke Mein Zinda Hoon Abhi;

Mere Rukane Se Meri Saanse Bhi Ruk Jaayegi;
Fasale Aur Badha Do Ke Mein Zinda Hoon Abhi;

Zehar Peene Ki Toh Aadat Thi Zamanewalo;
Ab Koi Aur Dava Do Ke Mein Zinda Hoon Abhi;

Chalti Raho Mein Yuhi Aankh Lagi Hai 'Faakir';
Bheed Logo Ki Hata Do Ke Mein Zinda Hoon Abhi!

Garmiye Hasrat Ke Nakam Se Jalte Hai;
Hum Chiragon Ki Tarah Shaam Se Jalte Hai;
Jab Aata Hai Tera Naam Mere Naam Ke Saath;
Naa Jano Kyon Log Hamare Naam Se Jalte Hai!

Is Kadar Hum Yaar Ko Manane Nikle;
Uski Chahat Ke Hum Deewane Nikle;
Jab Bhi Use Dil Ka Haal Batana Chaha;
To Uske Hothon Se Waqt Na Hone Ke Bahane Nikle!