Monday 31 March 2014

Hindi Romentic Shayri Hindi Shayari Dard Bhari Friendship Image Wallpaper Love Sad Photos Pic Images

Hindi Romentic Shayri Biography

Source(google.com.pk)

Jalwe Meri Nigah Mein Kaun-o-Makaan Ke Hain;
Mujhe Se Kahan Chhipenge, Woh Aise Kahaan Ke Hain;

Karte Hain Qatal Woh, Talab-e-Maghfarat Ke Baad;
Jo The Duaa Ke Haath, Wohi Imtehaan Ke Hain;

Jis Din Se Kuchh Sharik Hui Meri Musht-e-Khaak;
Us Roz Se Zameen Pe Sitam Aasmaan Ke Hain;

Kaisa Jawaab, Hazrat-e-Dil, Dekheye Zaraa;
Paighambar Ke Haath Mein Tukre Zabaan Ke Hain;

Kya Iztaraab-e-Shauq Ne Mujh Ko Khajil Kiya;
Woh Puchhte Hain, Kaheye, Iraade Kahaan Ke Hain;

Aashiq Tere Adam Ko Gaye Kisqadar Tabaah;
Puchha Har Ek Ne Yeh Musaafir Kahan Ke Hain;

Har Chand Dagh Ek Hi Ayyar Hai, Magar;
Dushman Bhi Tau Chhate Hue Saare Jahaan Ke Hain!

Ittefaqan Jab Mil Jate Ho Rah Mein Tum Kabhi;
Yoon Lagta Hai Kareeb Se Zindagi Jaa Rahi Ho Jaise!

Aa Gaya Hai Farak Uss Ki Nazaron Mein Yakeenan;
Aab Woh Mujhe Andaaz Se Nahi, Andaaze Se Pehchante Hai!

Un Dino Meri Shaksiyat-o-Aawargi Ke Charche Aam Hote Rahe;
Kuch Chubhte Alfaazon Ko Labon Pe Thaam Hum Bhi Be-Aaaraam Hote Rahe;
Waqt Ki To Yun Bhi Fitrat Hai Apni Raftaar Mein Chalne Ki;
Vo Apne Andaaz Mein Chalta Raha Aur Hum Badnaam Hote Rahe!

Teri Firaaq-o-Arzoo Mein Katt Ti Rahi Zindagi Meri;
Aab Toh Saansey Bhi Bhojh Ban Gayi Ho Jaise!

Kah Rahi Hai Hashar Mein Woh Aankh Sharmaai Hui;
Haae Kaise Is Bhari Mahfal Mein Ruswaai Hui;

Aaeene Mein Har Ada Ko Dekh Kar Kahte Hain Woh;
Aaj Dekha Chaaheye Kis Kis Ki Hai Aai Hui;

Kah Tu Ai Gulcheen, Aseeraan-e-Qafas Ke Waaste;
Tor Lun Do Chaar Kalian Main Bhi Murjhaai Hui;

Main Tau Raaz-e-Dil Chhipaaun, Par Chhipa Rahne Bhi De;
Jaan Ki Dushman, Yeh Zaalim Aankh Lalchaai Hui;

Ghamza-o-Naaz-o-Ada Sab Mein Hai Haya Ka Lagaao;
Haae Re Bachpan, Keh Shokhi Bhi Hai Sharmaai Hui;

Wasl Mein Khali Hui Aghiyaar Se Mahfal Tau Kya;
Sharm Bhi Jaae Tau Mein Jaanun Keh Tanhaai Hui;

Gard Uri Aashiq Ki Turbat Se Tau Jhunjala Ke Kaha;
Wah Sar Charhne Lagi, Paaon Ki Thukraai Hui!

Tujhe Khabar Hai Tere Teer-e-Bepanah Ki Khair;
Bahut Dino Se Dil-e-Natwan Nahi Milta

Nafrat Ki Dhoop Me Barsat Se Pehle;
Halaat Na The Aese Teri Mulaqat Se Pehle;
Har Kisi Ko Hamdard Samajh Lete The;
Hum Bhi Kitne Saada The Muhabbaton Ke Tajurbat Se Pehle!

Junoon Mein Jitni Bhi Guzri Bekar Guzri Hai;
Agarche Dil Pe Kharabi Guzri Hai!

Chaand To Nikla Hai Magar Ye Raat Na Hai Pehli Si;
Ye Mulakat Mulakat Na Hai Pehli Si;
Ranj Kuch Kam To Hua Aaj Milne Se;
Ye Alag Baat Hai Ke Ye Baat Na Hai Pehli Si!

Jandi Jandi Har Raaz Apne Naal Le Gayi;
Jandi Jandi Di Chupi Sanu Kuch Keh Gayi;
Keh Gayi Dil Todna Sadi Majboori Nahi Sadi Aadat Ae;
Teri Eho Aadat Sadi Jaan Kad Ke Le Gayi!

Waqt-e-Peeri Shabab Ki Baaten;
Aisi Hain Jaise Khwab Ki Baatein;
Phir Mujhe Le Chala Udhar, Dekho;
Dil-e-Khana Kharab Ki Baaten;
Sunten Hai Use Chher Chher Ke Hum;
Kis Maze Se Itaab Ki Baaten;
Mujh Ko Ruswa Karegi Khub, Ai Dil;
Yeh Teri Iztaraab Ki Baaten;
Jaao Hota Hai Aur Bhi Khafqaan;
Sun Ke Naaseh Janab Ki Baaten;
Zikar Kya Josh-e-Ishq Mein, Ai Zauq;
Hum Se Hon Sabar-o-Taab Ki Baaten!

Muddat Se Gum Hua Dil-e-Begaan-e-Siraj;
Shayad Ke Jaa Laga Hai Kisi Aashna Ke Hath! 

Yeh Bahein Humein Jab;
Apni Panahon Mein Bulathi Hein;
Humein Apni Kasam Hum;
Har Sahara Bhool Jatey Hain!

Wo Aaye Ghar Mein Hamare Khuda Ki Kudrat Hai;
Kabhi Hum Unko Kabhi Apne Ghar Ko Dekhte Hain!

Dil Te Zakham Dain Wala Apna Si;
Sanu Rulan Wala Apna Si;
Hun Ki Kisse Te Ilzaam Lawa Main Hun;
Jad Sanu Jinde Jee Maaran Wala Vi Apna He Si!

Bichad Ke Mujh Se Kabhi Tu Ne Ye Bhi Socha Hai;
Adhura Chand Bhi Kitana Udas Lagata Hai;

Ye Vasl Ka Lamha Hai Ise Rayegan Na Samajh;
Ke Is Ke Bad Wohi Duriyon Ka Sahara Hai;

Kuch Aur Der Na Jhadata Udasiyon Ka Shajar;
Kise Khabar Tere Saye Mein Kon Baitha Hai;

Ye Rakh-Rakhao Muhabbat Sikha Gai Us Ko;
Wo Ruth Kar Bhi Mujhe Muskura Ke Milta Hai;

Main Kis Tarah Tujhe Dekhun Nazar Jhijhakati Hai;
Tera Badan Hai Ke Ye Aainon Ka Dariya Hai!

Jahaa Baithe Mukaam-e-Dil Samajhkar;
Uthaaya Dard Ne Ghaafil Samajhkar!

Jo Ho Sake Toh Chale Aao Aaj Meri Taraf;
Mile Bhi Der Hui Aur Jee Bhi Udaas Hai!

No comments:

Post a Comment