Hindi Sher o Shayri Biography
Source(google.com.pk)
Dekh Lete Ho Mohabbat Se Yehi Kaafi Hai;
Dil Dharakta Hai Sahulat Se, Yehi Kaafi Hai;
Haal Dunya Ke Sataye Huye Kuch Logon Ka;
Puch Lete Ho Shararat Se, Yehi Kaafi Hai;
Jo Bhi Raste Mein Guzarta Hai Mere Pehlu Se;
Dekhta Hai Teri Nisbat Se, Yehi Kaafi Hai;
Muddat'ton Se Nahin Dekha Tera Jalwa Lekin;
Yaad Ajate Ho Shidat Se, Yehi Kaafi Hai;
Saari Dunya Se Ulajhte Hain Lekin Tera Kahaa;
Maan Jate Hain Sharafat Se, Yehi Kaafi Hai;
Kya Hua Hum Jo Muyassar Jo Zar-o-Maal Nahin;
Katt Rahi Hai Bari Izat Se, Yehi Kaafi Hai;
Aaj Ke Ehd Taghaful Mein Kisi Dar Pe Munir;
Koi Ajaye Zarurat Se, Yehi Kaafi Hai!
Nikalna Khuld Say Aadam Ka Sunte Aaye Hain Lakin;
Bohat Bayabroo Ho Kar Teray Kochay Say Hum Niklay!
Tum Raah Mein Chupp Chaap Kharrey Ho To Gaye Ho;
Kis Kis Ko Batao Gey Ghar Kyun Naheen Jaatey!
Ungliyaa Meri Waafa Par Naa Uthaooo Logo;
Jisko Shaq Hai Wo Mujhse Nabhakar Dekho!
Rakhna Mera Khayal Abb Umar Bhar Ke Liye;
Lo Maine Apne Aap Ko Teri Amanat Kar Diya;
Kya Khub Tha Humari Mohabbat Ka Andaz-e-Katil;
Zehar Bhi Diya Usne Toh Hoton Pe Laga Kar!
Kisi Ko Apnay Amal Ka Hisaab Kya Detay;
Sawaal Saaray Ghalat Thy Jawab Kya Detay;
Kharab Sadyon Ki Be-Khwabiyan Theen Aankhon Main;
Ab In Be-Aant Khala'on Main Khwaab Kya Detay;
Hawa Ki Tarha Musafir Thy Dilbaron K Dil;
Unhain Bus Aik Hee Ghar Ka Azaab Kya Detay;
Sharaab Dil Ki Talab Thi Sharaa K Pehray Main;
Hum Itni Tangi Main Us Ko Sharaab Kya Detay;
Munir Dasht Shuroo Se Saraab Aasa Tha;
Os Aainay Ko Tamanna Ki Aab Kya Detay!
Unke Dekhne Se Jo Aa Jati He Muhn Per Roneq;
Woh Samajte Hain K Beemar Ka Haal Acha Hai!
Kon Tha Woh Jo Tha Apne Shab-o-Roz Mein Gum;
Mar Gaye Jis Ki Mandderon Pe Kabooter Mere!
Jise Khud Se Hi Nahin Furstain;
Jise Khayal Apne Kamaal Ka;
Usey Kya Khabar Mere Shoq Ki;
Usey Kya Pata Mere Haal Ka!
Dosti Di Dastan Jado Waqt Sunave Ga;
Mainu Ek Shaks Jaroor Yaad Ayuga;
Bhul Jan Gay Jindgi De Sare Gum;
Jadon Tere Naal Bitaya Oh Pal Yaad Ayuga
Aisa Nahi Ke Ham Ko Mohabbat Nahi Mili;
Tumhain Chahtay Thay, Per Teri Ulfat Nahi Mili;
Milnay Ko Zindagi Mein Tou Kayi Hamsafar Milay;
Per Un Ki Tabiyat Se Tabiyat Nahi Mili;
Chehron Mein Dosron Ke Tujhe Dhoondtay Rahay;
Soorat Nahi Mili Kaheen Seerat Nahi Mili;
Bohat Dair Se Aaya Tu Mere Paas;
Alfaaz Dhoondnay Ki Bhi Mohlat Nahi Mili;
Tujh Ko Gila Hai Ke Tawajja Na Di Tujhe;
Laikin Ham Ko Tou Khud Apni Mohabbat Nahi Mili;
Ham Ko Tou Teri Har Aadat Achi Lagi "Faraz";
Afsos Ke Tujh Se Meri Aadat Nahi Mili!
No comments:
Post a Comment