Hindi Sher Shayri Biography
Source(google.com.pk)
Yeh Maza Tha Dil Lagi Ka Ke Barabar Aag Lagti;
Na Tujhe Qaraar Hota, Na Mujhe Qaraar Hota!
Woh Bhi Bohat Akela Hai Shayed Meri Tarah;
Us Ko Bhi Koi Chahney Wala Naheen Milaa!
Heraan Hoon Kay Muddat-e-Qaleel Main Mohsin;
Wo Shakhas Meri Souch Say Zayada Badal Gaya!
Mai Nayi Kehndi Rabba Menu Pyaar Baksh De;
Koi Sohna Jeha Chaun Wala Yaar Baksh De;
Bus Eni Ku Tamana Es Toote Hoye Dil Di;
Jehra Chori Chori Takke Dildaar Baksh De!
Ik Jaagda Dukhi Bimar Rati;
Ya Jaagda Choor Te Thug Rati;
Ya Jaagda Pehredar Rati;
Ya Jaagda Ishq Di Ramz Wala;
Ya Jaagda Yaar Da Yaar Rati;
Waris Mian Sub So Jande;
Bus Jagda Ik Parwardigar Rati!
Rail Ki Seetti Mein Kese Hijr Ki Tamheed Thi;
Us Ko Rukhsat Karke Ghar Lotay To Andaaza Hua
Toote Hain Sheesha Dil Haaye Dil Itne Ke Ehl-e-Dard;
Rakhte Hain Paaon Khaak Par Sau Baar Dekh Ka
Yeh Ajab Soorat-e-Haal Huyi Jati Hai;
Raat Ke Baad Yahan Raat Huyi Jati Hai;
Woh To Ab Bhi Mukammal Hai Kisi Pathar Ki Tarah;
Raizaa Raizaa To Meri Zaat Huyi Jati Hai!
Har Pair Vich Janjeer Nahi Hundi;
Parchaaven Vich Kade Tasvir Nahi Hundi;
Har Koi Kiven Ban Jave Ranjha, Jogi, Yarro;
Kyonki Har Mashooq ,Saleti, Heer Nahi Hundi!
Sundar, Komal Sapnon Ki Baraat Guzar Gayi Jaana;
Dhoop Ankhon Tak Aa Pohanchi Hai, Raat Guzar Gayi Jana;
Bhanwar Samay Tak Jis Ne Humain Baaham Uljhaaye Rakha;
Woh Albeli Resham Aesi Baat Guzar Gayi Jaana;
Sadaa Ki Dekhi Raat Humain Is Baar Mili To Chupkay Se;
Khaali Hath Pe Rakh Ke Kya Soghaat Guzar Gayi Jaana;
Kis Kompal Ki Aas Mein Ab Tak Wese Hi Sarsabz Ho Tum;
Ab To Dhoop Ka Mausam Hai, Barsaat Guzar Gayi Jaana!
Mitt Jaye Gi Makhlooq To Insaaf Karo Ge;
Munsif Ho Agar To Hashar Uthaa Kyon Nahin Dete!
Kabhi Neendain Kabhi Ankhon May Paani Bhej Deta Hai;
Wo Khud Aata Nahi Apni Nashaani Bhej Deta Hai!
Aur Zeyada Bharrkatey Ho Tum To Aag Mohabbat Ki;
Sozish-e-Dil Ko Aye Ashko, Kya Khaak Bhujana Seekhey Ho!
Rubb Jaane A Laikh Lakeera'n Kinj Di Khed Wakha Gaiyaa'n;
Sochaa'n Haase Kha Gaiyaa'n Ne, Sochaa'n Maar Muka Gaiyaa'n!
Ab Ke Yun Bhi Teri Zulfon Ki Shikan Tooti Hai;
Rung Phootey Kahin Khushboo Ki Rasan Tooti Hai;
Maut Aai Hai Ke Taskeen Ki Saa't Aai;
Saans Tooti Hai Ke Sadiyon Ki Thakan Tooti Hai;
Dil Shikasta Tou Kai Baar Howay Thay Laikin;
Ab Ke Yun Hai Ke Her Ek Shaakh-e-Badan Tooti Hai;
Itni Be-Rabt Mohabbat Bhi Kahan Thi Apni;
Darmiyaan Se Kahin Zanjeer-e-Sukhan Tooti Hai;
Silsila Tujh Se Bicharnay Ka Kahan Khatam Howa;
Ek Zamaaney Se Raah-o-Rasm-e-Kuhaa.N Tooti Hai;
Mere Yaaron Ke Tabassum Ki Kiran Maqtal Mein;
Nok-e-Neza Ki Tarha Zair-e-Kafan Tooti Hai;
Reza Reza Mein Bikharta Gaya Her Suu "Mohsin";
Sheesha Sheesha Meri Sangeeni-e-Fun Tooti Hai!
Kisey Maloom Tha Ishq Iss Qadar Lachaar Karta Hai;
Dil Usey Janta Hai Bewafa, Magar Pyar Karta Hai
Ajeeb Saanehaa Guzraa Hai Mujh Pe Aaj Ki Sham;
Main Aaj Shaam Tumhare Hijar Main Udaas Na Tha;
Ab Aik Saal To Yeh Aik Gham Hi Kaafi Hai;
Tumhari Salgiraah Par Bhi Tumhare Paas Na Tha!
Wo Jo Kahta Tha Ki Tum Na Mile To Mar Jayenge Hum;
Wo To Aaj Bhi Zinda Hai Kisi Aur Se Ye Baat Kahne K Liye!
Tuhade Naal Sada Rishta Kujh Khas Ae;
Tuhade Jehe Yaar Utte Sanu Bada Naaz Ae;
Bhavein Kinne Vi Tufaan Aaun Zindagi De Vich;
Sada Ae Rishta Avein Hi Rahuga Jivein Ki Ajj Hai
No comments:
Post a Comment