Sms Messages Biography
Source(google.com.pk)
Saaz Yeh Keena Saaz Kya Jaane;
Naaz Waale Niyaaz Kya Jaane!
Main Bhi Moonh Mein Zabaan Rakhta Hoon;
Kash Poochho Ke Mudda'a Kya Hai!
Dosti Se Kimati Koi Jageer Nahi Hoti;
Dosti Se Khubsurt Koi Tasveer Nahi Hoti;
Dosti Yoon Toh Kacha Dhaga Hai Magar;
Is Dhage Se Majboot Koi Zanjeer Nahi Hoti!
Jada Farak Ni Rakheya Rabb Ne Sade Doha Vich;
Usnu Chaun Vale Bohut Ne Te Mainu Thukaron Vale Bahut Ne!
Ek Moamma Hai Samajhne Ka, Na Samjhaane Kaa;
Zindagii Kaahe Ko Hai, Khwaab Hai Diivaane Kaa;
Khalq Kahtii Hai Jise Dil Tere Diivaane Kaa;
Ek Gosha Hai Yeh Duniyaa Isii Viiraane Kaa;
Mukhtasar Qissa-e-Gham Ye Hai Ki Dil Rakhta Huun;
Raaz-e-Kaunain Khulaasa Hai Is Afsaane Kaa;
Tumne Dekhaa Hai Kabhii Ghar Ko Badalte Hue Rang;
Aao Dekho Na Tamaasha Mere Gham-Khaane Kaa;
Dil Se Ponhchii To Hai Aankhon Men Lahuu Kii Buunden;
Silsila Shiishe Se Miltaa To Hai Paimaane Kaa;
Hamne Chhaanii Hai Bohat Dair-O-Haram Kii Galiyaan;
Kahiin Paaya Na Thikaana Tere Diivaane Ka;
Har Nafs Umr-e-Guzishtaa Ki Hai Mayyat Faani;
Zindagi Naam Hai Mar Mar Ke Jiye Jaane Kaa!
Imaan Mujhe Roke Hai Jo Khiche Hai Mujhe Kufr;
Ka'aba Mere Peechhe Hai Kaaisa Mere Aage
Kya Jaaniye Kya Hai Tere Bimaar Ki Haalat;
Isa Bhi Yeh Kehte Hain Ke Hai Waqt Dua Ka!
Haasi Haasi Me Kitano Ko Hasa Diya;
Haasi Haasi Me Kitne Gammon Ko Chupa Liya;
Haans Kar Gaya Koi Is Kadar Ki;
Umar Bhar Ke Liye Haasna Bhula Diya!
Boote Collage De Vi Kade Supne Dikhande C;
Khawaab Sadde V Kade Tainu Chaunde C;
Wajood Hunda C Jeonda Kade Issh Marjaane Da;
Aashiq Hunda C Main Vi Kade Tere Parchawe Da!
Yah Dunyaa Ek Khawaabon Kii Zamiin Hai;
Yahaan Sab Kuchh Hai Aur Kuchh Bhii Nahiin Hai;
Tere Chhuune Se Pahle Vaahma Thaa;
Mujhe Ab Apne Hone Ka Yaqiin Hai;
Jo Socho To Sulag Uthi Hain Saansen;
Teraa Ehsaas Kitnaa Aatishiin Hai;
Mohaajir Ban Gye Hain Mere Aansuu;
Na Aanchal Hai Na Koii Aastiin Hai;
Jagah Duun Kaise Tujhko Apne Dil Men;
Yahaan To Teraa Gam Masnad-Nashiin Hai;
Mere Chehre Pe Koii Jhuk Rahaa Hai;
Yah Lamhaa To Khudaa Jaisaa Hasiin Hai!
Jis Waqt Khuda Ne Tumhe Banaya Hoga;
Ek Saroor Sa Uska Dil Pe Chaya Hoga;
Pehle Socha Hoga Tujhe Jannat Mein Rakh Luon;
Phir Usse Mera Khayal Aaya Hoga!
Main Hairaan Hoon Ke Kyon Us Se Huiee Thi Dosti Apni;
Mujhe Kaise Gawarah Ho Gayiee Thi Dushmani Apni!
Dosti Ka Jo Kiya Karte Hain Daawa Ehbaab;
Waqt Padta Hai To Sab Aankh Chura Lete Hain!
Shajar Se Jo Patte Judaa Hote Hai;
Tumne Bhi Mujhe Kuch Yuhii Chod Dia;
Par Teri Yaadon Ne Mujhse Kabhi Befaiee Nai Ki;
Har Manjar -e- Algaav Par Mere Sang Sang Chali!
Oh Aakhdi Aa Tu Bohat Badal Geya a Hun;
Koi Samjawe Meri Jaan nu;
Tut Ke Diige Patteya De Aksar;
Rang Badal Hi Jande ne!
In Aankhon Se Din Raat Barsaat Hogii;
Agar Zindagii Sarf-E-Jazbaat Hogii;
Musaafir Ho Tum Bhii, Musaafar Hain Ham Bhii;
Kisii Mod Par Phir Mulaaqaat Hogii;
Sadaaon Ko Alfaaz Milne Na Paayen;
Na Baadal Ghirenge Na Barsaat Hogii;
Chiraagon Ko Aankhon Men Mahfuuz Rakhnaa;
Badii Duur Tak Raat Hii Raat Hogii;
Azal Taa Abd Tak Safar Hii Safar Hai;
Kahiin Subah Hogii Kahiin Raat Hogii!
Raqeebo Ne Rapat Likhwai Hai Jaja Ke Thane Mein;
Ke Akbar Naam Leta Hai Khuda Ka Is Zamaane Mein!
Hum Ne Mohbaton Ke Nashe Mein Aa Kar Useh Khuda Bana Dala;
Hosh Tab Aaya Jab Us Ne Kaha Ke Khuda Kisi Ek Ka Nahi Hota!
Kuch Rishte Iss Jahaan Mein Khaas Hote Hai;
Hawa Ke Rukh Se Jin Ke Ehsaas Hote Hai;
Yeh Dil Ki Kashish Nahi To Aur Kiya Hai Doston;
Door Reh Kar Bhi Woh Dil Ke Kitne Paas Hote Hai!
Akhan Vich Hanju Vi Nahi;
Te Dilo Assi Khush Vi Nahi;
Kahda Hakk Jatayie Ni Kudiye;
Assi Taan Hun Tere Kuj Vi Nahi!
No comments:
Post a Comment