New Hindi Shayri Biography
Source(google.com.pk)
Kiss Qadar Masoom Sa Lehja Tha Un Ka FARAZ';
Dheere Sey Jaan Keh Kar Humein Bejaan Kar Gaya!
Dil Ke Rishton Ki Nazakat Woh Kya Jaaney;
Naram Lafzon Se Bhi Lag Jati Hai Chotein Aksar!
Kisi Nu Dukh De Ke Sukh Paya Ta Ki Paya;
Kise Da Husn Dekh Ke Chaaya Ta Ki Chaaya;
Pyar Krde Ho Kise Nu Ta Krde Raho;
Kise Hor Da Pyar Kho Ke Paya Ta Ki Paya!
Koii Us Shahar Mein Kab Thaa Uskaa;
Use Yah Zom Ki Rab Thaa Uskaa;
Uskii Rag Rag Men Utartii Rahii Aag;
Uske Andar Hii Ghazab Thaa Uskaa;
Vahii Silsila-e-Taar-e-Nafas;
Vahii Jiine Kaa Sabab Thaa Uskaa;
Sidq-Zaada Thaa Voh Shahzaada Kamaal;
Bas Yahii Naam-O-Nasab Thaa Uskaa!
Kyon Vasl Ki Shab Haath Lagaane Nahin Dete;
Ma'shuq Ho Ya Koi Amaanat Ho Kisi Ki!
Qaasid Ke Aate Aate Khat Ek Aur Likh Rakkhun;
Main Jaanta Hoon Jo Wo Likhenge Jawaab Mein!
Bhula K Mujhko Agar Tum Ho Salamat;
To Bhula K Tujhko Sambhalna Mujhe Bhi Aata Hai;
Nahi Hai Mari Fitrat Main Ye Aadat;
Warna Teri Tarha Badalna Mujhe Bhi Aata Hai!
Do Mulaqan De Riste;
Siasat Ch Jaan Pisde;
Attwad Vi Loon Chidak Reha;
Purane Jakham Jihde Jaan Risde!
Ranjish Hii Sahii, Dil Hii Dukhaane Ke Liye Aa;
Aa Phir Se Mujhe Chhod Ke Jaane Ke Liye Aa;
Kuchh To Mere Pindaar-e-Mohabbat Kaa Bharam Rakh;
Tuu Bhii To Kabhii Mujhko Manaane Ke Liye Aa;
Pahle Se Maraasim Na Sahii, Phir Bhii Kabhii To;
Rasm-O-Rah-E-Duniaa Hi Nibhaane Ke Liye Aa;
Kis Kis Ko Bataayenge Judaai Ka Sabab Ham;
Tuu Mujh Se Khafaa Hai, To Zamaane Ke Liye Aa;
Ek Umar Se Huun Lazzt-e-Giryaa Se Bhii Mahruum;
Ae Raahat-e-Jaan Mujhko Rulaane Ke Liye Aa;
Ab Tak Dil-e-Khushfaham Ko Tujh Se Hain Ummiide;
Yah Aakhrii Shamaen Bhii Bujhaane Ke Liye Aa!
Jee Dhoondta Hai Phir Wahi Fursat Ke Raat Din;
Baithe Rahein Tasawwur-e-Janaan Kiye Hue!
Ik Pal Mai Jo Barbad Kar Dete Hain Dil Ki Basti Ko Faraz;
Wo Log Dekhne Mai Aksar Masom Hote Hain
Manzil Toh Mil Hi Jayegi Bhatak Kar Hi Sahi;
Gumrah Toh Wo Hai, Jo Ghar Se Nikle Hi Nahi!
Menu Mili Judai Ta Main Ki Kara;
Na Menu Mohabaat Ras Aayi Ta Main Ki Kara;
Na Menu Umeed Hun Jeuoon Di;
Je Maut Vi Na Aayi Ta Main Ki Kara!
Tumhare Khat Mein Naya Ek Salaam Kiska Tha;
Na Tha Raqueeb Toh Aakhir Woh Naam Kiska Tha;
Raha Na Dil Mein Woh Bedard Aur Dard Raha;
Mukim Kon Hua Hai Makaam Kiska Tha;
Wafa Karenge Nibhayenge Baat Maanege;
Tumhe Bhi Yaad Kuch Ye Kalaam Kiska Tha;
Woh Katl Karke Har Kisise Puchhate Hai;
Yeh Kaam Kisane Kiya Yeh Kaam Kiska Tha;
Humare Khat Ke Toh Purze Kiya Padha Bhi Nahi;
Sun Jo Tumane Baa-Dil Woh Payaam Kiska Tha;
Guzar Gaya Woh Zamana Kahoo Toh Kisse Kahoo;
Khyaal Dil Ko Mere Subah-O-Shaam Kiska Tha;
Har Ek Se Kehate Hai Kya 'Daag' Bewafa Nikala;
Ye Puchhe Inse Koi Woh Ghulam Kiska Tha!
No comments:
Post a Comment