Love Sms Biography
Source(google.com.pk)
Najro Se Jab Najar Ka Taqrar Hota Hai;
Her Morh Pay Kisi Ka Intezaar Hota Hai;
Dil Rota Hai Zakahm Haste Hai;
Shayad Isi Ka Naam Pyar Hota Hai!
Akal Ayyaar Hai, Sau Bhaiss Bana Leti Hai;
Ishq Bechara Na Mulla Hai Na Zahid Na Hakeem!
Kisey Maloom Tha Ishq Iss Qadar Lachaar Karta Hai;
Dil Usey Janta Hai Bewafa, Magar Pyar Karta Hai!
Rakhna Mera Khayal Abb Umar Bhar Ke Liye;
Lo Maine Apne Aap Ko Teri Amanat Kar Diya;
Kya Khub Tha Humari Mohabbat Ka Andaz-e-Katil;
Zehar Bhi Diya Usne Toh Hoton Pe Laga Kar
Pyar Bhi Karna, Zamaney Se Bhi Ghabrana Bohat;
Aayino'n Ka Ghar Banana Aur Pathar Sochna!
Yeh Ajab Qayamaten Hain Teri Rahguzar Main Guzaari;
Na Ho Ke Mar Mittain Hum, Na Ho Ke Jee Uthain Hum!
Khud Mein Hum Kuch Iss Tarah Kho Jate Hain;
Biti Hui Yaadon Ko Lekar Ro Jate Hain;
Nind Nahi Aati Raaton Mein Par;
Unko Khwab Me Dekhne Ke Liye So Jaate Hain!
Aankon Mein Ishq, Labh Pe Khamoshi;
Aandaz Mein Ikraar, Jism Mein Inkaar;
Kahan Jayein Mohabaat Karne Wale;
Ek Taraf Jannat, Doosri Taraf Jahannum!
Ishq Wahi Hai Jo Ho Ektarfa;
Izhaar-e-Ishq To Khwahish Ban Jaati Hai;
Hai Agar Ishq, To Aankho Mein Dekho;
Zuban Kholne Se Yeh, Numaish Ban Jaati Hai!
Ishq Ki Bandagi Di Hai To Husn Ki Ibadat Jaroori Hai;
Ishq Se Jeene Ki Ass Rahegi Aur Husn Se Tarap Ki Justju!
Mohhabat Muqaddar Hai Ek Khawab Nahi;
Ye Vo Ada Hai Jisme Sab Kaamyaab Nahi;
Jinhe Panaah Mili Unhe Ungliyon Par Gin Lo;
Magar Jo Fanaa Hue Unka Koi Hisaab Nahi!
Garmiye Hasrat-E-Nakaam Se Jal Jaate Hain;
Hum Chiraagon Ki Tarah Shaam Se Jal Jaate Hain;
Shama Jalti Hai Jis Aag Mein Numayish Ke Liye;
Hum Usi Aag Mein Gumnaam Se Jal Jaate Hain;
Jab Bhi Aata Hai Tera Naam Mere Naam Ke Saath;
Jaane Kyon Log Mere Naam Se Jal Jaate Hain!
Tapakti Hai Nigahon Se Barasti Hai Adaaon Se;
Mohabbat Kaun Kehta Hai Ke Pehchaani Nahi Jati!
Tu Wo Zaalim Hai Jo Dil Mein Rah Kar Bhi Mera Na Ban Saka;
Aur Dil Wo Kaafir Hai Jo Mujh Mein Rah Kar Bhi Tera Ho Gaya!
Tark-E-Takaluf Par Bhi Hogi Unko Nadamat Humse Zyada;
Kisne Ki Hai Kaun Karega Unse Mohabbat Humse Zyada!
Mohabbat Naam Hai Jiska, Wo Aesi Qaid Hai Yaaro;
Ki Ummrein Beet Jaati Hain, Sazza Puri Nahin Hoti!
Sahib-e-Aqal Ho, Ek Mashwara Mukhisana Chahiye;
Zindage Se Tang Hoon, Khud-Kushi Karon Ya Ishq!
Aankhon Mein Na Humko Dhoondo Sanam;
Dil Mein Hum Bas Jaayenge;
Tamanna Hai Agar Milne Ki Toh;
Band Aankhon Mein Bhi Hum Nazar Aayenge!
Dil Ki Aawaz Ko Izhaar Kehte Hain;
Jhuki Nigah Ko Iqrar Kehte Hain;
Sirf Paane Ka Naam Ishq Nahin;
Kuch Khone Ko Bhi Pyar Kehte Hain
Jaisi Hai Teri Tamanna Waise Pyaar Karenge;
Har Dhadkan Par Apni Wafa Ka Ikraar Karenge;
Jahan Bhi Jaoge Har Kadam Humme Hi Paaoge;
Ishq Ke Har Mod Par Tera Intezaar Karenge!
Ishq Sey Tabeeyat Ney Zeest Ka Mazaa Paaya;
Dard Kee Davaa Paayee Dard-e-la-davaa Paaya!
No comments:
Post a Comment