Saturday 5 April 2014

Hindi Love Sms Hindi Shayari Dard Bhari Friendship Image Wallpaper Love Sad Photos Pic Images

Hindi Love Sms Biography

Source(google.com.pk)

Kabhi Ek Lamha Aisa Bhi Aata Hai;
Jisme Beeta Hua Kal Nazar Aata Hai;
Bas Yaaden Reh Jati Hai Yaad Karna Ke Liye;
Aur Waqt Sab Kuch Lekar Guzar Jata Hai!

Badla Tere Sitam Ka Koi Tujh Se Kya Kare;
Apna Hi Tu Farefta Hove, Khuda Kare;
Qaatil Hamari Naash Ko Tash-Hir Hai Zarur;
Aainda Ta Koi Na Kisi Se Wafa Kare;
Fikr-E-Maash, Ishq-E-Butaan, Yaad-E-Raftgaan;
Do Din Ki Zindagi Mein Ab Koi Kya Kya Kiya Kare;
Aalam Ke Beech Phir Na Rahe Rasm-E-Aashqi;
Gar Neem Lab Koi Tere Shikwe Se Waa Kare;
Gar Ho Sharaab-O-Khilwat-O-Mahboob-E-Khub Roo;
Zaahid Qasam Hai Tujh Ko Jo Tu Ho Tau Kya Kare;
Khaakastr-O-Patang-O-Mashahd Meri Ki Khaak;
Sham-O-Shafaq Ajab Ho Jo Mil Kar Ura Kare;
Ai Waae Bar Aseer, Ke Par Tor Kar Jise;
Sayyaad Fasl-E-Gul Mein Chaman Se Riha Kare!

Kisi Ko Pyar Itna Dena Ki Had Na Rahe;
Par Aitbaar Bhi Itna Rakhna Ki Shak Na Rahe;
Wafa Itni Karna Ki Bewafai Na Ho;
Aur Dua Bus Itni Karna Ki Judaai Na Ho!

Khushbu Ki Tarah Meri Har Sans Main;
Pyar Apna Basane Ka Wada Karo;
Rang Jitne Tumhari Mohabat Ke Hain;
Mere Dil Me Sajane Ka Wada Karo!

Dard Ki Mehfil Me Ek Sher Hum Bhi Arz Kiya Karte Hai;
Na Kisi Se Marham Na Duaon Ki Ummed Kiya Karte Hai;
Kayi Chehre Lekar Log Yaha Jiya Karte Hai;
Hum In Aasunao Ko Ek Chehre Ke Liye Peeya Karte Hai!

Aata Hai Yaad Mujhe Guzra Hua Zamana;
Woh Bagh Ki Bahaaren, Who Sab Ka Chahchahana;

Aazaadian Kahan Ab Who Apne Ghaunsle Ki;
Apni Khushi Se Aana, Apni Khushi Se Jana;

Lagti Hai Chot Dil Par Aata Hai Yaad Jisdin;
Shabnam Ke Aansoon Par Kalion Ka Muskarana;

Woh Piari Piari Soorat, Who Kaamni Si Moorat;
Aabaad Jis Ke Dam Se Tha Mera Aashiana;

Aati Nahin Sadaaen Uski Mere Qafas Mein;
Hoti Meri Rihaai, Ai Kash, Mere Bas Mein;

Kya Badnaseeb Main Hoon, Ghar Ko Taras Raha Hoon;
Saathi Tau Hain Watan Mein, Main Qaid Mein Padah Hoon;

Aai Bahaar Kalian Phoolon Ki Hans Rahi Hain;
Main Is Andhere Ghar Mein Qismat Ko Ro Raha Hoon!

Jane Kya Soch Ke Lehrein Sahil Se Takrati Hain;
Aur Phir Se Vapis Laut Jati Hain;
Samaj Nahi Ata Ke Woh Kinaro Se Bewafai Karti Hain;
Ya Phir Laut Ke Samandar Se Wafa Nibhati Hain!

Tere Hussan Ke Hum Deewane Ho Gaye;
Tujhe Apna Banate Banate Hum Khud Se Begaane Ho Gaye;
Na Chor Na Mujhe Tu Aaye Zalim;
Tere Kareeb Aakar Hum Duniya Se Dur Hogaye Hai!

Chand Ki Judai Me Aasma Bhi Tadap Gaya;
Uski Ek Zhalak Pane Ko Har Sitara Taras Gaya;
Badal Ke Dard Ko Kya Kahoo;
Chand Ki Yaad Me Vo Haste Haste Baras Gaya!

Apni Bebasi Par Aaj Rona Sa Aaya;
Doosron Ko Nahi Maine Apno Ko Azmaaya;
Har Dost Ki Tanhaayi Door Ki;
Lekin Khud Ko Har Morh Par Tanha Hi Paya!

Lab Pe Aati Hai Dua Ban Ke Tamanna Meri;
Zindagi Shama Ki Soorat Ho Khudaya Meri;

Door Duniya Ka Mere Dam Se Andhera Ho Jaaey;
Har Jagah Mere Chamakne Se Ujala Ho Jaaey;

Ho Mere Dam Se Yunhi Mere Watan Ki Zeenat;
Jis Tarah Phool Se Hoti Hai Chaman Ki Zeenat;

Zindagi Ho Meri Parwane Ki Soorat Yaarab;
Ilm Ki Shama Se Ho Mujhko Mohabbat Yaarab;

Ho Mera Kaam Ghareebon Ki Himayat Karna;
Dardmandon Se, Zaeefon Se Mohabbat Karna;

Mere Allah! Burai Se Bachana Mujhko;
Nek Jo Rah Ho Us Rah Pe Chalana Mujhko! 

Hum Doston Ko Bhulte Nahi Hain;
Magar Yeh Baat Jatate Nahi Hain;
Doston Ko Hamesha Rakhte Hain Yaad;
Hum Bhulne Ke Liye Dost Banate Nahi Hain!

Behte Aashkon Ki Zubaan Nahi Hoti;
Lafzon Mein Mohabat Bayaan Nahi Hoti;
Mile Jo Pyar To Kadar Karna;
Kismat Har Kisi Par Maherban Nahi Hoti!

Pal Pal Uska Saath Nibhate Hum;
Ek Ishare Par Duniya Chor Jaate Hum;
Samnder Ke Beech Mein Pahunch Kar Fareb Kiya Usne;
Wo Kehta To Kinare Par Hi Doob Jaate Hum!

Rone Se Aur Ishq Mein Bebaak Ho Gaye;
Dhoey Gaye Hum Aise, Ke Bas Paak Ho Gaye;

Sarf-E-Bahaa-E-Main Hue, Aalaat-E-Maikashi;
The Yeh Hi Do Hisaab, So Yoon Paak Ho Gaye;

Ruswaa-E-Dahar Go Hue Aawaargi Se Tum;
Baare Tabeeaton Ke Tau Chalaak Ho Gaye;

Kahta Hai Kaun Naala-E-Bulbul Ko Be Asar;
Parde Mein Gul Le Laakh Jigar Chaak Ho Gaye;

Poochhe Hai Kya Wajood-O-Adam Ahl-E-Shauq Ka;
Aap Apni Aag Ke Khas-O-Khashaak Ho Gaye;

Karne Gaye The Us Se, Taghaaful Ka Hum Gila;
Ki Ek Hi Nigah, Ke Bas Khaak Ho Gaye;

Is Rang Se Uthai Kal Us Ne Asad Ki Naash;
Dushman Bhi Jisko Dekh Ke Ghumnaak Ho Gaye!

Nazare Mile To Pyar Ho Jata Hai;
Palke Uthe To Izhaar Ho Jata Hai;
Na Jane Kya Kasish Hai Chahat Main;
Anjaan Bhi Hamari Zindagi Ka Haqdaar Ho Jata Hai!

Bolti Hai Dosti Chup Rahta Hai Pyar;
Hasti Hai Dosti Rulata Hai Pyar;
Milti Hai Dosti Bichhadta Hai Pyar;
Phir Na Jane Log Kyon Karte Hain Pyar!

No comments:

Post a Comment