Saturday 5 April 2014

Hindi Shayris Hindi Shayari Dard Bhari Friendship Image Wallpaper Love Sad Photos Pic Images

Hindi Shayris Biography

Source(google.com.pk)

Hasane Ke Baad Kyu Rulati Hai Duniya;
Jaane Ke Baad Kyu Bhulati Hai Duniya;
Zindagi Me Kya Koi Kasar Baaki Thi;
Jo Mar Jaane Ke Baad Bhi Jalati Hai Duniya!

Toote Teri Nigah Se Agar Dil Habaab Ka;
Paani Bhi Phir Piein To Maza Hai Sharaab Ka;

Dozakh Mujhe Qabool, Ai, Munkir-O-Nakeer;
Lekin Nahin Dimagh Sawaal-O-Jawab Ka;

Tha Kis Ke Dil Ko Kashmkash-E-Ishq Ka Dimagh;
Yaarab Bura Ho Deeda-E-Khana-Kharaab Ka;

Zahid Sabhi Hai Neimat-E-Haq Jo Hai Aql-O-Sharb;
Lekin Ajab Maza Hai Sharaab-O-Kabaab Ka;

Ghaafil Ghazab Se Ho Ke Karam Par Na Rakh Nazar;
Pur Hai Sharar-E-Baraq Se Daaman Sahaab Ka;

Qatra Gira Tha Choo Ke Mere Ashk-E-Garam Se;
Darya Mein Hai Hanzooz Phaphola Habaab Ka;

Sauda, Nigah-E-Deeda-E-Tahqiq Ke Hazur;
Jalwa Har Ek Zarre Mein Hai Aaftaab Ka!

Mehfil Main Kuch To Sunana Padta Hai;
Gham Chupakar Muskurana Padta Hai;
Kabhi Unke Hum Bhi The Dost;
Aaj Kal Unhe Yaad Dilana Padta Hai!

Ba Andaaz-E-Ghaiz-O-Ghazab Bolti Hain;
Ba Awaaz-E-Shor-O-Shaghab Bolti Hain;
Nahin Bolti Hain Tau Kab Bolti Hain;
Pe Jab Bolti Hain Tau Sab Bolti Hain!
Translation:
Andaaz-E-Ghaiz-O-Ghazab: Spit Fire And Smoke
Awaaz-E-Shor-O-Shaghab: Hall Reverberates With Their Shouts And Shrieks

Kisi Ke Dil Mein Basna Bura Toh Nahi;
Kisi Ko Dil Mein Basana Khata Toh Nahi;
Hain Ye Zamane Ki Nazar Me Bura Toh Kya Hua;
Zamane Wale Bhi Insaan Hai Khuda Toh Nahi!

Phool Nahi Hum Kaanton Main Baste Hai;
Khushi Nahi Hum Gum Main Bhi Haste Hai;
Shayari Karna Aasan Nahi Dost;
Dil Ke Dard Se Shayar Bante Hai!

Ek Boorha, Naheef-O-Khasta Zar;
Ik Zaroorat Se Jaata Tha Bazaar;

Zoef-E-Peeri Se Kham Hui Thi Kamar;
Raah Bechara Chalta Tha Jhuk Kar;

Chand Larkon Ko Us Pe Aai Hansi;
Qad Pe Phabti Kahan Ki Soojhi;

Kaha Ik Larke Ne Us Se Ke Bol;
Tu Ne Kitne Ko Li Kamaan Yeh Mol;

Pir Mard, Lateef-O-Daanishmand;
Hans Ke Kahne Laga Ke Ai Farzand;

Pahunchoge Meri Umar Ko Jis Aan;
Muft Mil Jaaegi Tumhein Yeh Kamaan!

Hum Ne Iqbal Ka Kaha Maana;
Aur Faaqon Ke Haathon Marte Rahe;
Jhukne Waalon Ne Rifatein Paaein;
Hum Khudi Ko Buland Karte Rahe!

Umeed-E-Hoor Ne Sab Kuchh Sikha Rakhha Hai Waaiz Ko;
Yeh Hazrat Dekhne Mein Seedhe Saadhe, Bhole Bhaale Hain!

Saare Shikwe Jawab Tere Hai;
Dil Pe Saare Ghaav Tere Hai;
Tum Yaad Aao To Nind Nahi Aati;
Nind Aaye To Saare Khwab Tere Hai!

Chand Ki Judai Me Aasman Bhi Tadap Gaya;
Uski Ek Zhalak Pane Ko Har Sitara Taras Gaya;
Badal Ke Dard Ko Kya Kahoon;
Chand Ki Yaad Me Vo Haste Haste Baras Gaya!

Jab Nazar Uski Aan Parti Hai;
Zindagi Tab Dhiaan Parti Hai;

Jhel Lete Hain Aashiq, Ai Farhad;
Jiske Sar Jaisi Aan Parti Hai;

Baat Is Dil Ke Dard Ki , Yaaro;
Gufatgoo Mein Nidaan Parti Hai;

Ek Ke Munh Se Jis Ghari Nikli;
Phir Tau Sau Ki Zabaan Parti Hai;

Lekin Itna Koi Kahe Mujh Se;
Kabhu Us Ke Bhi Kaan Parti Hai;

Manzalat Sher Ki Tire, Sauda;
Yun Bawaham-O-Gumaan Parti Hai;

Nahin Isaah Tu, Par Sukhan Se Tire;
Tan-E-Be Jan Mein Jaan Parti Hai!

Duniya Ne Ghum Hazaar Diye, Lekin Ae Dost;
Mainne Har Ek Ghum Ko Hansi Mein Udda Diya!

Badi Mudaat Se Chaha Hai Tumhein;
Badi Duaoon Se Paya Hai Tumhein;
Tum Nee Bhulaane Ka Socho Bhi Kaise;
Kismat Ki Lakiron Se Churaya Hai Tumhein!

Bekhabar Tujhe Kya Khabar;
Teri Aankhon Mai Kaisa Jamal Hai;
Tujhe Dekh Le Jo Bas Ik Nazar;
Us Ki Aankhon Mai Phir Yeh Sawal Hai!

Zulaam Hai Gar Na Do Sakhun Ki Daad;
Qahar Hai Gar Karo Na Mujhko Payaar;

Aapka Banda Aur Phiroon Nanga;
Aap Ka Naukar Aur Khaaoon Udhaar;

Meri Tankhwah Kijeye Maah Ba Maah;
Ta Na Ho Mujhko Zindagi Dushwaar;

Khatam Karta Hoon Ab Dua Pe Kalaam;
Shaairy Se Nahin Mujhe Sarokaar;

Tum Salaamat Raho Hazaar Baras;
Har Baras Ke Hon Din Pachaas Hazaar!

Itna Aitbaar To Apni Dhadkanon Par Bhi Humne Na Kiya;
Jitna Aapki Baaton Par Karte Hain;
Itna Intezar To Apni Saanson Ka Bhi Na Kiya;
Jitna Aapke Milne Ka Karte Hain!

Unke Honthon Pe Mera Naam Jab Aya Hoga;
Khud ko Ruswaie Se Phir Kaise Bachaya Hoga;
Sun ke Fasana Auro Se Meri Barbadi Ka;
Kya Unko Apna Sitam Na Yaad Aya Hoga!

Tere Bina Tutkar Bikhar Jayenge;
Tum Mil Gaye To Gulshan Ki Tarah Khil Jayenge;
Tum Na Mile To Jeete Ji Mar Jayenge;
Tumhe Paa Liya To Mar Ke Bhi Jee Jayenge!

No comments:

Post a Comment